Chehray ki khoobsurati mein aankhon ka kirdaar sab sey eham hota hai lekin har kisi ko eye makeup kerne ka sense nahin hota na unse perfect eyeliner lagta hai. Eyeliner pencil ho ya liquid dono kay zariye aankhon per sharp line banaai ja sakti hai. Sab sey pehle sheshay mein dekh ker aankhen band ker lein aur darmiyaan sey line banane ki ibteda karen aur kinare ki taraf liner ko leker ayen aur isko khushk honay dein aur phir maskara lagayen.
Eyeliner ka istemal agar theek tareekay sey kiya jaye tou na sirf apka look tabdeel ho sakta hai bulkay aankhon ki shape mein bhi tabdeeli asakti hai. Agar aap chahti hain keh aapki aankhen aik dusray sey faaslay per nazar ayen tou matt finish shades aur ghehray shades istemal karen aur issay aankhon kay neechay aur upar lagayen. Ab tou aankhon ko mazeed khoosurat banana kay liye mukhtalif qisam kay eyeliners ka istemal hota hai jesa keh Liquid eyeliner, Gel eyeliner, Eyeliner pencil, Solid Gel Automatic pencil, Eyeshadow eyeliner bohat ziyada maqbool hai jo aapki aankhon ko mazeed khoobsurat banane mein eham kirdaar ada kertay hain.
Post a Comment