Kuch loag apni din bhar ki thakan ko kum karnay kay liye coffe ka istemal kartay hain kyun keh aik cup coffee pinay sey aisa mehsoos hota hai jaise jism mein tawanaai bhar gai hai. Khaas tor par imtehaan kay dino mein raat bhar jag kar parhnay kay liye coffee ka istemal zarur kartay hain. Coffee kay mukhtalif fawaid hain jo keh na sirf apki sehat bulkay apki zindagi kay aam kaamo mein bhi mufeed sabit hotay hain.
Sir dard sey nijaat
Coffee mein paai janay wali caffeine khoon ki naaliyon ki soojan ko khtam karti hai aur sir dard ko kum karti hai.
Chehray ki safaai
Coffee ki patti chehray ki safaai kay liye mufeed hai agar chehray ki jilf khushk ho tou coffee ko neem garam paani mein daal kar
chehray ka massage karen.
Gosht ko lazeez tar banaye
Gosht ka khush rung aur lazeez bananay kay liye ismein coffee ka istemal karen kisi bhi kisam ka gosht ho bohat lazeez banay ga.
Bharta wazan kum karay
Jo loag apnay bhartay hue wazan sey pareshan hain wo roz aik cup black coffee ka istemal karen kyun coffee bharti hui charbi ko gala deti hai.
Jism mein sardi ki kumi
Sardi kay mosum mein coffee ka istemal loag bohat shidat sey kartay hai kyun keh coffee jism mein sardi ko kum karnay kay liye eham kirdar ada karti hai.
Kya aap nay kabhi Coffe kay itnay fawaid sunain hain?
Post a Comment