By AnySeee | 19 December 2018
Tooth Paste
Toothpaste sirf brushing kay liye hi nahi balkay aur bohat si cheezoun kay liye istemal hota hai. Tooth paste kay anokhay istemal aaj hum aap ko batatay hain.
Toothpaste sey aap apnay mobile ki screen kay scratches saaf kar saktay hain. Thora sa tooth paste le kar screen par rub karain aur naram sey toliya ya kapray sey saaf karlain.
Bilkul isi tarah aap apnay TV aur computer ki screen bhi saaf kar saktay pani ka kam sey kam istemaal karain sirf geelay towel sey saaf karain.
Agar machis ki teeli geeli hogai hai tou us par tooth paste lagayain, khushk kapray sey saaf kar kay istemaal karain machis foran jal jaegi.
Piyaz, adrak aur lehsan kaatnay kay baad haathoun mein smell aanay lagti hai jo sabun sey dhonay sey bhi nahi jati. Is kay liye thora sa tooth paste haath mein lagayin aur rub karain achay sey phir pani sey dho lain.
Post a Comment